enema guidelines in urdu

Note:
Iss page par sirf pentasa / mesacol / masalmine / mesalazine enema kai baray mai guidelines provide ki gai hain. Agar ap steroidal enema use kar rahay hain tu doctor sai mashawara karain.

Mesalamine and Mesalazine aik hi formula (5-ASA) kai 2 different names hain, aur aik hi cheez hai .

Disclaimer: 

Iss page par koi medical advice ya prescription nai di jaa rahi, apnai risk par amal karain.

Enema kia hai?

Aksar IBD patients, jin ko ulcerative colitis, proctosigmoiditis, proctitis, etc, diagnose ho, unhain doctor enema prescribe kartay hain. Enema aik liquid form mai medicine hoti hai jo anus/rectum kai rastay bari aant mai pas ki jati hai takay ulcers kai oper marham ka kam kar sakay.

Enema kai istimal ka kia faida hota hai?

Enema kai istimal sai aant kai ander sozish (inflammation) or pain (dard) kam honay mai madad milty hain. Jab ham tablets khatay hain tu anton kai akhri hissay tak ponchtay ponchtay medicines ka asar kam ho jata hai. Enema kai through ziada concentrated form mai medicine intestine mai direct pas ki jaa sakti hai.

Enema kab istimal karna chahiye?

Agar severe diarreha ho, ya stool mai blood aa raha ho, aanton mai sozish, swelling, inflammation ziada ho, ya pain ho, tu enema helpful hota hai. Enema mai aisay chemical hotay hain jo pain and swelling ko kam kartay hain.

Enema kahan sai milta hai?

Agar ap outside Pakistan hain tu apko different brands mai 4 g/ 60mL enema pack mil sakta hai,  yeh country and availability par depend karta hai: (mesalamine) Rectal Suspension Enema 4.0 grams/unit (60 mL)

Pakistan mai yeh brand available nai hai, aur apko different pharmacies sai order par banwana paray ga.  For example, green’s pharmacy, agha khan pharmacy, Fazaldin & Sons, and so on.

Agar ap online purchase karna chahte hain tu iss website: sehat.com.pk par check karain. Wahan par yeh brand available hai: Mesacol Enema  1gm/60mL (lekin internationally enema ki dose 4gm / 60mL hai)

NOTE: Enema aik jald expire ho janay wali cheez hai, issi liey agar kisi dosri city sai enema mungwa rahay hain tu iss baat ka khiyal rakhna zarori hai keh woh kis temperature par ship ho raha hai aur kitnay dino mai ponch raha hai.

Enema ko kab kab lena chahiye:

Enema ko din mai aik bar lena chahiye jab raat ko sonay kai liey bed par late jain. Jin dino enema lai rahay hon tu sath pani peenay ki miqdar ziada rakhain, iss sai kidney stones bannay ko roka ja sakta hai.

Enema kab tak lena chahiye aur yeh kab asar karta hai:

Enema ka asar 3 sai 21 days mai nazar aa sakta hai. Aur yeh takreeban 3 sai 6 weeks tak liay jata hai, doc kai mashwaray sai.

Kia ham khud enema bana saktay hain:

Enema ko khud bi prepare kia jaa sakta hai, yeh steps follow kar ke:

Step 1: (4 g mesacol  or Pentasa)

Sab sai pehly mesacol/pentasa tablets lain jinki quantity itni honi chahiye jitni neechay batai gai hai:

Mesacol Tablet 400 mg  (10 tablets )

or

Mesacol Tablets 800 mg (5 tablets)

or

Pentasa Tablets 500 mg (8 tablets)

yeh tablets ap in websites sai online bi purchase kar saktay hain sehat.com.pk or dawaai.pk or iskay ilawa koi bi Pakistani website

Step 2: (60 mL Enema bottle)

Enema bottle purchase karain. Jis mai kam sai kam capacity 60mL honi chahiye. Pakistan mai ap Kleen Enema ki 120 ml bottle ko bi khali kar kai, garam pani sai wash kar ke re-use kar saktay hain. In websites par kleen enema bottle online available hai, sehat.com.pk, dawaai.pk, ya koi aur Pakistani website
Daraz.pk sai bi enema ki bottles purchase ki jaa sakti hain.
NOTE: Enema bottle aisi hona zarori hai keh jisko ap asani sai hand sai duba (squeez) kar ke enema nikal sakain.

Step 3: (GTN cream as lubricant)

Enema bottle ki tip par lubricant lagana chahiye takay rectum mai asani sai enter ho sakay aur koi zakham, scars, or injury nah ho. Sab sai best lubricant kai taur par GTN cream hai. Pakistan mai online GTN cream sehat.com.pk sai purchase ki ja sakti hai. Iskai alawa kai medical stores mai bi yeh cream available hai. GTN cream anal fissures, hemorrhoids, rectal pain kai liey use ki jati hai, aur issi liey issay as lubricant bi use kia jaa sakta hai.

Neechay wala brand sehat.com.pk sai mil jata hai:

Step 4 (Grinding of tablets):

4 g  quantity medicines (pentasa/mesacol) ko properly grind karain keh wo bilkul powder form ban jai.

Step 5 (Enema preparation)

enema bottle mai 60 mL saline water dalain. Saline water kisi bi medical store sai mil jai ga. Agar saline water available nai hai tu  ubal kar thanda kia hoa (saaf / distilled) water dalain aur sath 4 g powder (mesacol/pentasa), aur achi tarah mix karain.

Step 6 (lubrication of enema bottle tip)

Enema ki bottle ki tip par GTN cream lagain takay woh lubricate ho jai

Step 7 (Enema lainay ki position and insertion)

Enema lenay sai pehlay last time bathroom visit karain aur stool pas karain takay rectum khali ho jai.

Sab sai behtar enema lenay ki position woh hai jiss sai yeh hamary sigmoid colon, descending colon, tak ponch sakay aur woh agay batai gai hai.

Right hand mai plastic glove pehnain. Left side par latain aur right leg ko  chest ki taraf bend karain, aur phir right hand sai enema ki bottle  ki tip ko slowly rectum mai insert karain jab tak keh pori tip insert nai ho jati. Uss kai bahd bottle ko zor sai dubain (tightly squseeze karain) takay sari dawai intestine mai enter ho jai.

Bottle ko neechay batai gai tariqay kai mutabiq dubain (squeeze karain) aur phir dabi halat mai hi bahir pull karain

Phir ussi tarah dubaai hoi bottle ko bahir pull kar len. Issi position mai 30 minutes tak rahain. Shoro mai bathroom janay ki zarorat feel ho gi, jissay control karna paray gai. Kam sai kam 8 hours tak enema intestine mai rehna chahiye. Enema bottle nikalnay kai bahd rectum par toilet roll ka piece rakh dain takay bedsheet ya kapray nah kharab hon.

Preferable yehi hai keh enema bottle ko istimal kai bahd phenk dena chahiye. Lekin agar apko enema bottle asani sai dastyab nai hai tu phir ussi bottle ko high temperature ubaltay pani sai kuch der wash kar keh re-use kar len. Lekin ye ensure karain keh bottle germs sai pak ho gai hai. Enema ko bananay kai bahd ziada der nai rakhna chahiye aur isko roshni aur heat sai bachana hai warna yeh expire ho sakta hai.

NOTE: Agar apki tabiyet ziada kharab nai hai tu ap enema ki quantity reduce bi kar  ke 1 g / 60mL or  2 g / 60mL or 3 g / 60mL kar saktay hain.

One Comment