How does SCD Diet heals Intestinal Ulcers
HOW DOES SCD DIET HEALS US?
کیا وجہ ہے کہ ایس سی ڈی ڈائیٹ ہمیں ٹھیک کر سکتی ہے۔
Specific Carbohydrate Diet (SCD) nai hazaron logon ko theek kia jinnay aanto ki mukhtalif bemarian thi, jiss sai un logon ki zindagi ki quality mai boht behtari aa gai. Boht saray cases mai logon nai apnay aap ko theek hota mehsoos kia. Ye aik aisi ghaza hai ju ziada tar Crohn’s disease, ulcerative colitis, celiac disease, diverticulitis, cystic fibrosis, IBS, IBD, and bar bar honay walay diarreha ko theek karnay kai liey istimal ki jati hai. Ye diet aik boht healthy, balanced, and safe diet hai jis mai har aik kai liey faida hai. Jo khanay ham SCD Diet kai ander reh kar kha saktay hain, unka daromadar khorak kai chemical structure par hota hai. Diet kai andar “Carbohydrates” ki molecular sakth ki base par nishandhai (classification) ki jati hai.
SCD Diet mai jo Carbohydrates khorak mai khani allowed hoti hai, wo “monosaccharides” hain aur unkai ander single molecular structure hota hai, jiss ki waja sai aisi khorak asani sai aant ki androni dewar mai hazam ho jati hai. Ziada complex carbohydrates jo keh, disaccharides (double molecules) and polysccharides (chain molecules) par mushtamil hotay hain, wo khorak mai allowed nai. Uski waja yeh hai keh Complex saccharides itni asani sai hazam nai ho patay, aur wo hamary anton kai andar buray bacteria ko khorak ponchatay hain, jiss sai uss buray (bad) bacteria ki tadaad ziada ho jati hai, aur wo toxins (poisons) release karta hai. Jab bad bacteria toxins release karta hai tu hamara immune system bad bacteria ka muqabla karnay kai liey bari aant mai ponch jata hai. Magar woh wahan bad bacteria ko maarnay kai bajay, ghalti sai aant ki dewar kai cells ko damage karna shoro kar deta hai aur hamai, diarreha, ulcers, aur bleeding ki shikayat honay lagti hai. Jab ham doctor kai pass jatay hain, tu doctor sab hamain steroids waghera dai detay hain, jiss sai immune system waqti taur par shutdown ho jata hai, lekin jonhi medicine ki dose waqt kai sath sath kam ki jati hai, bad bacteria phir immune system ko majboor karta hai keh wo bari aant mai aye aur wo wahan ja kar phir aant kai cells ko damage karna shoro kar deta hai. Ye aik pora cycle ban jata hai, yani, bad bacteria ko khorak ponchi, aur uss nai toxins produce kia, immune system aant mai gia aur uski dewar ko damage karna shoro kar dia. Iss cycle ko “Vicious Cycle” kehtay hain, jesa keh neechay di gai tasweer mai nazar aa raha hai:
SCD diet ka maqsad iss “Vicious Cycle” ko break karna hota hai. Issi waja sai SCD Diet ki kitab ka naam hai “Breaking the Vicious Cycle”. SCD Diet vicious cycle iss tarah break karti hai ke iss mai shamil ajzaa bad bacteria ki khorak nai bantay, jiss ki waja sai bad bacteria bhook/faqay sai marna shoro ho jata hai. Jab bad bacteria mar jata hai tu immune system ko aanto ki taraf ja kar nuqsan ponchanay ka koi bhana nai milta aur iss tara hamary aanto ki dewar kai cells theek hona shoro ho jatay hain.
Modern medical science ka aksar doctors ki diet kai baray mai training nai hoi hoti, iss liey wo diet kai role ko nai mantay. Ziada tar doctors anton kai mareez patients ko yehi kehtay hain keh khorak ka iss bemari sai koi talaq nai aur wo jo marzi hai khain. Iss tareeqa sai doctors aik patient ko “Doctor Cycle” mai mubtala kar detay hain. Jab patient doctor kai pass jata hai tu wo ussay medicines tu dai deta hai lekin diet kai baray mai sahi guide nai karta. Iss waja sai, patients heavy dose steroids aur deegar dawaion kai istimal kai bawajood diet mai proper care nai kar raha hota. Jab medicines ki dose kam hoti hai, tu patients ki takleef dobara barh jati hai, aur wo phir doctor kai pass jata hai. Iss dafa doctor patient ko pehlay sai ziada sakht medicines pakra deta hai aur phir bi diet kai baray mai sahi guide nai karta. Iss tarah aik patient musalsal aik “Doctor Cycle” ka shikar rehta hai, jesay neechay tasweer mai nazar aa raha hai:
SCD diet ka maqsad aik patient ko Vicious Cycle aur Doctor Cycle sai bahir nikalna hota hai.
SCD Diet aik sahi khorak hai, kionke iss mai jo bi foods allowed hain wo zameen ki tareekh kai shoro walay insaan istimal kartay thai, maslan, meat, fish, sabzian, eggs, nuts, and kam mithas walay fruits. Hamary ajkal ki mojoda modern khorak boht sari masnoi (artificial) ajzaa sai banti hai jis mai kafi tadad mai starches, grains (danay), pasta, legumes, and breads shamil hain, jinn ka wajood mahaz 10,000 sal pehlay aya. Guzishta 100 salon mai cheeni, artificial flavors, preservatives, nai aik kaseer tadad health problems ko janam dia, jin mai shadeed aanto ki kharabi sai lai kar motapa aur damaghi slahiton ka kamzoor hona hai. Yehi waja hai ke insano ki aik bari tadad ko aj kal ki modern khorak sahi tara suit nai karti.
SCD Diet ko 50 saal ki reseach mai test kar ke Dr. Haas aur biochemish Elaine Gottschall nai banaya hai, aur iss kai khatirkhawa nataij aain hain. Logon kai experiences aur feedback sai ye sabit hoa hai keh kam az kam 75% aisay log jinno nai iss diet ko sakhti sai follow kia, un ki halaat mai kafi ziada behtari aaye hai.